Majeed Akhtar Ghazal Nashsha-e-shauq Hai Fuzun Shab Ko Abhi Sahar Na Kar

Majeed Akhtar Ghazal in Urdu Text, Shayari on sad in Urdu, and Roman Urdu &

Majeed Akhtar Ghazal Nashsha-e-shauq
Majeed Akhtar Ghazal Nashsha-e-shauq
Are You looking at Sad Poetry Ghazal in Urdu text, Shayari on sad in Urdu, and Roman Urdu 
We are sharing the best Ghazal ho  Majeed Akhtar with You Nashsha-e-shauq hai Fuzun Shab ko Abhi Sahar Na Kar -Dekh Hadees-e-dil-Baran Itni Bhi Mukhtasar Na Kar. 
After reading this URDU GHAZAL- LYRIC, share it with your friends. There is happiness in sharing good deeds and good things.


اردو غزل مجید اختر

نشہ شوق ہے فزوں شب کو ابھی سحر نہ کر 
دیکھ حدیث دلبراں اتنی بھی مختصر نہ کر 

سارا حساب جان و دل رکھا ہے تیرے سامنے 
چاہے تو دے اماں مجھے چاہے تو درگزر نہ کر 

اپنوں سے ہار جیت کا کیسے کرے گا فیصلہ 
اے مرے دل ٹھہر ذرا یہ جو مہم ہے سر نہ کر 

اس کا یہ حسن وہم ہے تیرا یہ عشق ہے گماں 
اتنا یقین دل مرے وہم و گمان پر نہ کر 

ہجرت نو کا مسئلہ بڑھتے قدم نہ روک لے 
سو مری جاں سفر میں رہ دار فنا میں گھر نہ کر 

اتنا تو وقت دے کبھی خود سے کروں مکالمہ 
اے مری عمر تیز رو ایسے مجھے بسر نہ کر 

میری اڑان ہے مرے رب کریم کی عطا 
یوں مرے ضد میں منتشر اپنے یہ بال و پر نہ کر 

مجید اختر 

Roman Urdu Ghazal Hear touching Poetry by Majeed Akhtar

Nashsha-e-shauq hai fuzun shab ko abhi sahar na kar 
Dekh hadees-e-dil-baran itni bhi mukhtasar na kar 

Sara hisab-e-jan-o-dil rakkha hai tere samne 
Chahe to de amaan mujhe chahe to darguzar na kar 


Apnu sy har jeet ka kese karega faisla 
Aay mere dil thahar zara ye jo muhim hai sar na kar 


Us ka ye husn wehm hai tera ye ishq hai guman 
Itna yaqeen dil mere wehm-o-guman par na kar 


Hijrat-e-nau ka masala badhte qadam na rok ly 
So mere jan safar men rah dar-e-fana mein ghar na kar 


Itna to waqt de kabhi khud se karon mukalima 
Aye mere umr-e-tez-rau aise mujhe basar na kar 


Meri udaan hai mare rab-e-karim ky ata
Yuun mire zid mem muntashir apne ye bal-o-par na kar.

Previous Post Next Post