Noshi Gilani Ghazal | Sad Urdu Poetry, Video Images poetry
Noshi Gilani Urdu Ghazal Picture & Video Download
تیرا ذکر میری کتاب میں نہیں آئے گا
نہیں جائے گی کسی آنکھ سے کہیں راوشنی
کوئی خواب اس كے عذاب میں نہیں آئےگا
کوئی خود کو صہرہ نہیں کرے گا میری طرح
کوئی خواہشوں كے سَراب میں نہیں آئےگا
دِل بد گماں تیرے موسموں کو نوید ہو
کوئی خار دست گلاب میں نہیں آئےگا
اُسے لاکھ دِل سے پُکار لو اُسے دیکھ لو
کوئی ایک حرف جواب میں نہیں آئےگا
تیری راہ تکتے رہے اگرچہ خبر بھی تھی
کہ یہ دن بھی تیرے حساب میں نہیں آئےگا
نوشی گیلانی
Noshi Gilani |
kisi harf mein kisi baab mein nahi aaye ga
tera zikar meri kitaab mein nahi aaye ga
kisi harf mein kisi baab mein nahi aaye ga
tera zikar meri kitaab mein nahi aaye ga
nahi jaye gi kisi aankh se kahin Roshni
koi khawab is ke azaab mein nahi aaye ga
koi khud ko Shraa nahi kere ga meri terhan
koi khawahishon ke sarab mein nahi aaye ga
dil bad guma tairay mousamoo ko Naveed ho
koi khaar dast ghulaab mein nahi aaye ga
ussay laakh dil se pukar lo ussay dekh lo
koi aik harf jawab mein nahi aaye ga
teri raah taktey rahay agarchay khabar bhi thi
ke yeh din bhi tairay hisaab mein nahi aaye ga
Noshi Gilani