Parveen Shakir's very rare ghazal - Justojoo Khoye Huoon ki Umar Bhar Karte Rahay
You can download Parveen Shakir's very rare ghazal in Urdu and Roman Urdu. You can also copy the text. Parveen Shakir, Pakistani poet, Parveen Shakir best poetry, Parveen Shakir romantic poetry, Parveen Shakir husband, Parveen Shakir son, Parveen Shakir
Parveen-Shakir-urdu-sad-ghazal |
جستجو کھوئے ہُوؤں کی عُمر بھر کرتے رہے
چاند کے ہمراہ ہم ہر شب سفر کرتے رہے
Justojoo Khoye Huoon Ki Umar Bhar Karte Rahay
Chaand Ke Hamrah Hum Har Shab Safar Karte Rahay
Raastoon Ka Ilm Tha Hum Ko Nah Simtao Ki Khabar
Shehar Namaloom Ki Chahat Magar Karte Rahay
Hum Ne Khud Se Bhi Chupaya Aur Saaray Shehar Ko
Tairay Jane Ki Khabar Deewar O Dar Karte Rahay
Woh Nah Aaye Ga Hamein Maloom Tha, Is Shaam Bhi
Intzaar Is Ka Magar Kuch Soch Kar, Karte Rahay
Aaj Aaya Hai Hamein Bhi Unn Udanoo Ka Khayaal
Jin Ko Tairay Zeam Mein, Be Baal O Par Karte Rahay
Parveen Shakir
(پروین شاکر)