Best Ghazal - Ambreen Haseeb Amber Tum Bhi Naah

Ambreen Haseeb Amber Tum Bhi Naah - Video Pics SMS

A Very Beautiful Ghazal Of Amberin Haseeb Amber. You Have Come To Mind And Sat Down. Dheyaan Mein Aa Kar Baith Gaye Ho, Tum Bhi Naah, Translation Of This Ghazal Into Urdu And Roman Urdu With Photos,

There Is Also A Video Of This Ghazal Which Has Been Read By Amberin Haseeb Amber, Himself, Music. Ambreen Haseeb Amber Poetry


Amberin Haseeb Anber-dheyaan Mein Aa Kar Baith Gaye Ho-urdu Ghazal_01_31_2021
Tum Bhi Naah


Dheyaan Mein Aa Kar Baith Gaye Ho, Tum Bhi Naan_01_31_2021
Ghazal

( Amberin Haseeb Anber  )

Dheyaan Mein Aa Kar Baith Gaye Ho, Tum Bhi Naah
Mujhe Musalsal Dekh Rahay Ho, Tum Bhi Naan

Day Jatay Ho Mujh Ko Kitney Rang Naye
Jaisay Pehli Baar Miley Ho, Tum Bhi Naah

Har Manzar Mein Ab Hum Dono Hotay Hain
Mujh Mein Aisay Aan Basey Ho, Tum Bhi Naah

Ishhq Ne Yun Dono Ko Hum Amaiz Kya
Ab To Tum Bhi Keh Dete Ho, Tum Bhi Naan

Khud Hi Kaho Ab Kaisay Sanwar Sakti Hon Mein
Aaiine Mein Tum Hotay Ho, Tum Bhi Naah

Ban Ke Hussain Honton Par Bhi Rehtay Ho
Ashkon Mein Bhi Tum Bahtay Ho, Tum Bhi Naah

Meri Band Ankhen Bhi Tum Parh Letay Ho
Mujh Ko Itna Jaan Chuke Ho, Tum Bhi Naah

Kar Jatay Ho Koi Shararat Chupkay Se
Chalo Hato Tum Bohat Buray Ho, Tum Bhi Naah

Maang Rahay Ho Rukhsat Mujh Se Aur Khud Hi
Haath Mein Haath Liye Baithy Ho, Tum Bhi Naah,

Ambreen Haseeb Amber Tum Bhi Naah-Ghazal video

Previous Post Next Post